Mumbai ke sar se taaj phisla,
Oberai,Trident aur CST mein insaan pighla,
Kyon Mumbai ka rakhwala daghabaaz nikla,
Keh rahen hain log lena hoga badla,
Is baar mumbaikar dega dikhla,
Bana dena hoga rakhwale ko hakla,
Mumbai ke sar se taaj phisla.
Neta baney khatawaan,
Kyon mumbaikar sahe nuksaan,
Jaan aur mal ka hona tha nigahbaan,
Dol gaya neta ka thode ke liya dhyan,
Bech khaya apna fayde ke liye eimaan,
Neta baney khatawaan.
Ab ki baar na chodengey hum!!!
Karni hogi bharpaye nahin kum,
Neta jo kursi pe gaye hain jum,
Dena padega unhe hisaab nahin to niklega dum,
Shahedon ke liye thodi ankhen karo num,
Is baar nahin chodenge hum!!!
Friday, December 5, 2008
Subscribe to:
Posts (Atom)